Jhoola Kinne Dala

Asha Bhosle

Dekha humein kuch aise ke

Behka diya humein

Tum ne toh khaab dekhna

Sikhlaadiya humein

Uss zindagi se

Kaise

Sitam ko gilaah karein

Jis zindagi ne aap se

Milwaadiya humein

Dekha humein kuch aise ke

Behka diya humein

Aankhon mein hain nasheele bhavar

Zulf mein leher

Aankhon mein hain nasheele bhavar

Zulf mein leher

Darya yeh kaisa husn ka

Dikhlaadiya humein

Armaano ka jahaan

Mohabbat ki daastan

Armaano ka jahaan

Mohabbat ki daastan

Hum kya kahen ke aapne

Kya kya diya humein

Dekha humein kuch aise ke

Behka diya humein

Manzar tamaam rang mein

Doobe huwe se hain

Manzar tamaam rang mein

Doobe huwe se hain

Tumne yeh kis makaam pe

Pohchaadiya humein

Yeh aap hai ke aaya hai

Mausam bahaar ka

Yeh aap hai ke aaya hai

Mausam bahaar ka

Shadaab kar diya humein

Mehka diya humein

Dekha humein kuch aise ke

Behka diya humein

Tum ne toh khaab dekhna

Sikhlaadiya humein

Uss zindagi se

Kaise

Sitam ko gilaah karein

Jis zindagi ne aap se

Milwaadiya humein

同歌手歌词