Yeh Tara Woh Tara

A.R. Rahman

Music:A R Rehman作曲:A R Rehman

_Hey Heya hey Hey Heya eh Heya eh Hey

Oh Ho Ho Ho Ho Ho Hoa Ho Hoa ho Ho Hoa

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Dekho Jisse Bhi Lage Pyaara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Sab Saath Mein Jo Hai Raat Mein

Toh Jagmagaaya Aasmaan Saara

Ye Sab Saath Mein Jo Hai Raat Mein

Toh Jagmagaaya Aasmaan Saara

Jagmag Taare Do Taare Lo Taare Sau Taare

Jagmag Saare Har Taara Hai Sharaara

Udit: Tun Mein Dekhi Hai Dhanak Toh

Bolo Rang Kitne Hain

Saath Rang Kehne Ko

Phir Bhi Sang Kitne Hain

Samjho Sabse Pehele Toh Rang Hote Akele Toh

Indranush Banta Hi Nahin

Ek Na Ham Ho Paaye Toh Anyaay Se Ladne Ko

Hogi Koyi Janta Hi Nahin

Phir Na Kehna Nirbal Hai Kyun Haara

Hmm Aara Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Dekho Jisse Bhi Lage Pyaara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Toh Jagmagaaya Aasmaan Saara

Jagmag Taare Do Taare Lo Taare Sau Taare

Jagmag Saare Har Taara Hai Sharaara

Udit: Boond Boond Milne Se

Banta Ek Dariya Hai

Boond Boond Saagar Hai

Warna Ye Saagar Kya Hai

Samjho Is Paheli Ko

Boond Ho Akeli Toh

Ek Boond Jaise Kuchh Bhi Nahin

Ham Auron Ko Chhode Toh

Munh Sabse Hi Mude Toh

Tanha Rehna Jaaye Dekho Ham Kahin

Kyun Na Bane Milke Ham Dhaara

Hmm..Aara Taara

Vignesh: Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Dekho Jisse Bhi Lage Pyaara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Sab Saath Mein Jo Hai Raat Mein

Toh Jagmagaaya Aasmaan Saara

Both: Jagmag Taare Do Taare Lo Taare Sau Taare

Jagmag Saare Har Taara Hai Sharaara

_Hey Heya hey Hey Heya eh Heya eh Hey

Oh Ho Ho Ho Ho Ho Ohoa Ho Hoa ho Ho Hoa

Udit: Jo Kisaan Hal Sambhaale

Dharti Sona Hi Ugaaye

Jo Gowaala Gaiya Paale

Dudh Ki Nadi Bahaaye

Jo Lohaar Loha Dhhaale

Har Auzaar Dhhal Jaaye

Mitti Jo Kumbhaar Uthhaale

Mitti Pyaala Ban Jaaye

Sab Ye Roop Hai Mehnat Ke

Kuchh Karne Ki Chaahat Ke

Kissi Ka Kissi Se Koyi Bair Nahin

Sab Ke Ek Hi Sapne Hain

Socho Toh Sab Apne Hain

Koyi Bhi Kissi Se Yahaan Ghair Nahin

Seedhi Baat Hai Samjho Yaaraa

Hmm..Aara Taara

Baby Pooja:Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Vignesh: Dekho Jisse Bhi Lage Pyaara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Udit:Ye Sab Saath Mein Jo Hai Raat Mein

Toh Jagmagaaya Aasmaan Saara

Baby Pooja: Jagmag Taare Do Taare Lo Taare Sau Taare

Jagmag Saare Har Taara Hai Sharaara

Udit & Kids: Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Ye Taara Woh Taara Har Taara

Udit: Dekho Jisse Bhi Lage Pyaara(Kids: Ye Taara Woh Taara Har Taara)

同歌手歌词